Saturday 25 January 2014

Moun ki Chitthi

Chandrama ne kahi raat ki gyarah
prahar or unhe ye nahi pata,
Maun ki ek chitti unke naam ki
likhi ja rahi hai ispal kahin.
Bhor ke khilti hui phoolon per
ous bannkar girneke baad
Subha ki rosnime pighalne ki
intejar me ho kahin jaise...

Moun ko aab ispal ho chuki hai
raat ki us stabdhta se pyar,
Gunj aab kilkaari bannkar
behneko bas baaki hai kahin.
Rah per giri patjhad ki patte
or halkisi hawa ki gungunahat
Saaj rahi hai raaste bhi us rahgir ke pehla kadam ki aahat ke lie...

Gulab khili hai baag me unke
poudhon ke ek daali per,
Us path paar pehli kiran ke saath
unki raha dekh rahi hai kahin.
Barnmala pannoper sajayi ja rahi
hai kalm dawat or badi jatanse,
Us gulab ke saath unke hathonme
sajneki intejaar ho rahi ho jaise...

2 comments:

  1. Maa aap hindi me Kavita likhti ho vo bhi itna achha
    Incredible...... Hat's off :)

    ReplyDelete
  2. Jinke liye chitthi thi, woh kitne acche hain woh to dekh anand :-)

    ReplyDelete