Sunday 13 July 2014

Aashadi-Katha

Soukh se kharidi
Kaanch ki chhuriyan
Sone se bharaya hath...
Bola pehchan, tu hai Vimala
Pati hain Jagannath :-)
Yaad nahi kya kehkar Narayan
bhar li thi hame do nayan
Jiski patni mana khudko
Maryada to rakkh !!
Mukut chhadadun sirper tera
Galepe chandrahaar
Kamar sajegi mekhla dharkar
Pairme swarn jhanjhar...
Koi na kahe ye kaisi Lakshmi
kahan iske Narayan,
Swikaar ye bhet
or chal sathme
ho aab Dwiragaman...
Rath me chadayi
bannkar sanyasin
Bann lakshmi laut ghar.
Parvati thi raja ki putri
Daasi thi shivki magar :-)

No comments:

Post a Comment