Friday 11 July 2014

GuruPoornima #ThankYouSriSri :-)

Kritagyata ki chitthi hai ye Gurudev. Font english taqi aap padh paao, Bhasha Hindi taqi sablog bhi padh paayen.
Is chand ke taraf dekhte hue aaj jeevan me pehli baar poornata ki ehsaas hui.
1.'Guru ki drishtise dekho' aaisa suna bahot baar, per kaise ye to koi nahi bataya... Mann ki dristi, mann kahan hai dekhte sochte samay bitne lagi. Ekdin BodhGaya Ashram gayi or aap Shakti Kriya session le rahe the, Woh Shakti Kriya tabse sabko bolti aa rahi thi jabse aapse tin saal pehle mili. "Mere guruji sirf sudarshan kriya nahi, ek or naye sadhna layenge. jise mann ko,aapni sharir ki urja ko upar ke urja se jod dia jaata hoga"
Nahi janti Madhavididi ko phone pe kahi gayi woh baten woh swikarenge bhi ya nahi - per aasha hai aaj ke din ahankar se satya ko bada kar ke dekhenge jarur. Ye poornachandra to satya jaisa sampoorn bhi hai na !!
Isilie aapko woh baten jisdin Germany ke new year satsang me bolte hue suna- "i will come with two new kriyas this year" woh sabdh ke sath khushi mere rom rom daud rahi thi. Khushi mere guruji se merehi dilki baat sunneki. or mere fb post per aakar neel (neel modi,mera ek beta) pucha "ma, konsi kriya lanewale honge guruji?" or sahajhi maine kaha "i dont know neel, per kriya ka naam *shakti* hi hogi"

2.Usdin Christmas thi - or aapke usi tour me kisine aapke lie ek song gaya tha, language main nahi janti thi, per woh sur mere kaanme baith gaye...woh surr hi aapko gaakar sunayi thi usdin shakti kriya ke baad...
Or bhi kuch baaki tha. Kriya ke baad dhyan me baithi or fir aankhe kholi.....frrrrr...."Are Wah !! Panchi :-) ....Dekh viji dekh !!" :-)
or achanak - har pal jaisa mann Ekse laga rehta hai, woisehi aapke taraf dekhi maine -"dekhun to jara guruji bhi usse dekh rahe hain kya !! " Aap dekh rahe the guruji - wohi panchi ko hi aapbhi dekh rahe the... jaise hamare aankh focus ke bahar charo taraf dekh leta hai woise present moment me mann ho,to har chhoti chhoti chizen bhi nazar ke bahar nahi rehti haina !!

Pichle ek mahinese hospital me mrityu se yuddh karte hue ma or tauji( jo mere guru bhi the) ke dekhbhaal karte karte jab sharir tthak jati thi, firbhi has leti thi sabke sath ,,, hosla deti thi dusre patient ke gharwale logoko. Baar baar ye jehnme rehti thi "nahi harungi, yadi mere jagah guruji hote to... !! tthak jaate kya !! "
Chupchap hospital se laut te samay tauji ke antim kriya ki taiyari bhi kar rahi thi...or ma ko ghar laneki bhi tyariyaan. Raatme nindse pehle Astavakra bhi likhna jaari raha...facebook, twitter, dost, kisike saath bhi hasna khelna band nahi hui.
Ma ghar aayi or tauji chale gaye. usidin hosp formalities poore karte samay bhi kisiko gaale lagaya. hosla dia or dete samay ye samjnebhi nahi di dusre cabin me mera bhi kisika mrityu ho chuki hai.Mannki sthirta anderse woh Daya woh mamta le aayi. Mera dil to kathor hai usse khudko samhalna aata hai - jinhe nahi aata unhe meri jarurat thi. Krishna bhaiya 4th class staff the, unke patni bhi ITU me thi, usse lift ke paas presanime rote dekhi to daudkar gayi uske patni ke paasbhi.kisidinbhi aaisa nahi hua jisdin maine bina unko dekhe ghar aayi... Jisdin saare nurses ne kahan Aap itne presaani me bhi aaise kaise haas lete ho ? unhe nahi batayi usi hosp me Narayan ke mandir me baithkar hardin us haasi-sikhanewale ko dhanyabaad kia karte the
Sirf ek hosla, ek shakti mere sath the-hardin, harpal. Mere andar main bannkar merehi guru <3
Aajbhi tauji ke gyarah dinki kriya ke lie kora saarime asouch me hun. Sharir haar kartavya me lage hue hai or mann khudme, is chandrama me, is poornata ki ehsaas me.

Kis kis baat ke lie "thank yu Sri Sri" kahun main ?? Sabdhonme thank karneki koi jarurat bhi hai kyaa ?? Kon hain ye Sri Sri ??

Akele boone ashram me raatme mere hi jaisa ankhome aansoon ka ek boond lekr jo wahake chandrama ko dekhnge woh ??

sonese pehle ya bhorme jagneke baad chupchap aakar ekbaar #ThankYuSriSri ke posts ko padbhi lenge bilkul ek baccha ke jaisa , woh ??

Ya fir, ankahin anginaat hazaro Bhavnaki sakshi bane hue aapnehi mann ke sath aankhe mundkar duniase alaag sirf aapne lie rakkha hua kuchh pal bitanewale Sri Sri ??

#SriSri Inmese Jo bhi Ho, Mere Guruji Ispal Mere Saath hain...Mere is poornata ke andar hain or rahenge.

No comments:

Post a Comment