Wednesday 13 August 2014

On previous blog of 1-5 of Mandukya Gaudapada Karika in hindi on demand...

Kal Aum... Kaar ke 'A' se 'U' fir 'm' tak barnan ki prostuti me thi. Mandukya Upanishada ki barah kadi me se pratham paanch....OmKaar,Visvanara,Taijasa se Prajna ya 'pragna' tak....

Bastubodh rakhna badahi sahaj hai.
Chotese 'aam' ko aam sikha 'rasgulla' ko rasgulla, islie aam or rasgulla mere paas alag padarth.
Insaan ki pehchan bhi waisahi sthul hai.
Woh bura hai, woh bhala hai...kya karneme koi bhala hoga or kya karnese bura, ye hamare ander koi na koi paristhiti ya vyakti ke dwara inject kar diya gaya hain.
Or humlog nachte gate aapna bhram ka jagat tyar karte rehte hai.
'Saala' ko gaali hai sikhaya gaya to kisiko 'salaa' bolte sunnkar matra hum woh poore insaan ke charitra samj leneki galati asanise kar baithte hain... (1) yehi sthaar 'Visvanara'......
Indriya-vistaar roopi jagat.

Ekbaar ek admi ko maine kisike kabrke paas khade ye kehte aapne kaanse suna "mar gaya !! bahot hi accha aadmi tha saala."
Swamiji jo mere bhai or vishwadevanand ji ke sishya hain unse suna woh unlogose koi galati ho jaati thi,to kehte the, "aaisa galati fir nahi karega tum saala" dant bhi !! Gali bhi !! or Pyar itna ke mat pucho !!!
Ye jo sukhsm anubhav ; sikhe hue sala bolneper koi bura aadmi hota ya nahi hota hai - ye sthul bodh se sukshma chetan, jisme antar ki bodh ka jyadah mulya ,, Apne antar ki sapne jaisa kalpana jaisa ek dristi ek bodh ke saath jagat ko dekhna...ye hai anubhutimay jagat. Yehi (2)'taijasa' hai.... Jisme kabhi humlog aapne aapko devi , kabhi rishi , kabhi radha, kabhi guru, samjne lagte hai.... Ye samjna bhi to humlog aapne ander ki koi kalpana ko laga kar hi samaj rahe hain na !!!
Isme ye antar ki dharna - khudke anderme se utthe hamari apni ye kalpana ka roop galat bhi ho sakta hai !!
Jaise Mulla nasiruddin or unke beta ka gurujiwala story... *Mulla ne cup todnese pehle aapna beta ke gaal per ek thappad mara. Dost ne pucha "per usne cup bhi to nahi toda tha !! ?" mulla bole "Cup tuthi jaata to fir maarke kya faida tha !! Isilie pehlehi maar diya takey todehi nahi !!*
Story or ek explanation.
Explanation denese pehle vismay or sawal.
Humlog samaj to gaye, per ye explanation yadi na rehta storyme to fir kya hota !! ??
Hum hamare mannme ek mangadan explanation us ghatna ke lie hamare sukhshm bodhse bana lete.
Or dhyan lagakar dekho wohi ek ghatna ka alag alag mannme kaisa drishti kaisa anubhav paida karta !! Per satya to ek hai !! Alag roop kahan ??
Or isi sthar ka ek or side effect bhi hai. Comparison. Mera janna bada hai or dusreka samjna chhota.... Ahankar!! Isi sthiti me aata hai.

Aab ye dono me se chetna - vivek yadi thorasa or aage badh jaaye ?? Dono ko apne maddhe lie, per usme khudko bina bandhkar ?? Bhala Bura ka gyan kho denewala chetna ? Aapne andar mulla, uska beta or uske dost ye tino ka bahri roop or andruni pehchan dono jin chaitanya me aakar ekakaar ho chuka ?
Us tritiya sthar ki chetname, na to isper koi sawal aayega !! Or nahi kisi ek ke prati birupta ,ya alagsi koi sahanubhuti ....
Woh is sthitime sayed us chata per usme ek baap ka sneh ya shashan samjkar sthir rahenge ; warna yadi dekha ke sirf chata nahi mulla chabuk bhi istemal kia, tab uspal uska hath kaske pakrkar rokbhi lenge, or woh baccha ko bacha bhi lenge. Ya fir mullako samjhayenge.
Sirf palbhar me koi kaam samne aa gaya or subh chetnase , vivekbodh , suddh gyan se sabke heeth ke lie kia gaya karm. Jisko karke woh bhul bhi jayenge. Mulla ka hath rokneke lie yadi mulla apne dilme unke lie shatruta ya birodh paida kar lia, na usme unka kuch aata jata ,ya yadi us bacche ko bachaya or woh unko dhanyavaad nahi bhi kahan -na usme koi asha ya dukh bhi rahega....or nahi us acche kaam ke lie yadi waha upasthith log unhe wah wah kie , to unke hriday me koi ucchash ulhas bhi alagse nahi paida hogi....
Kyunke woh chetna sthir hai. Bilkul swakendrit. Jaise nidrame rehte ho....or shant. Jaise koi krupa unke dilme aapne aap kaam kar raha hai..... Yehi sthiti hai bramh se pehchan ki , bramh se mulaqat ki darwaja...
'Pragna' ya 'prajna'....
Swakendrit....kyunke woh bliss me aapna kaam kar raha hai. Woh janta hai main na to sthul dharana me hun or na hi sukhma antarbodh me.Unse kisika bura nahi ho sakta....unme karta bhav bhi nahi reh sakta !! Kyunke woh sthar to sampoorn shanth !! Jaise Shantime koi soya hua hai. Gahan Nidrame....
Na to sapna hai nahi jage hue....shanti shanti shantih. Or jo is sthiti me aa gaye to unko saree log pasand bhi karne lagte hai, unka iccha aatehi ya aneke pehlehi koi kaam poora hota hai ...unka koi birodh me nahi jaata kyunke sab samjne lagte hai ke woh aadmi woh chetna sabke hith me hai.. Aakash jaisi chetna, sabse suddh gyan lekr woh jagat ke hithme kaam karnewali chetna hi pragya ya prajna....<3
Yahataq mandudkya upanishad ki panch pehla sutra poorn hui.....

Kal 'turiya' ke bareme likhungi :)
Guruji ne chote chote vakyame kabhi kabhi ismese do char bataye the. Usimese ek do sabdh kaanme jaise baitha hua tha !! Baba ke paas bhi ek do din chota chota sabdh sune the. Bus woh saareko apne hriday ki manikothi me daal rakkha tha. Aaj jitna mujhse ho paya, bolneki chesta ki... Ho sakta hai kisiko pasand aaye,, aage kisika kuch kaam me laage...
Jaise Jeevan behta paani hriday-aakash or jani or maani jagatko lekr khare ye darwaja. Iske darwaja ka paare kya hai, woh 'turia' humlog kal dekhneki chesta karenge...

No comments:

Post a Comment