Sunday 28 December 2014

Isavasya - (Karma) - Ghrina, kaam,krodh, lobh- hame bandhta hai,, Prem hame aazad karta hai

Khudko pehchano. Aapne kendra ke ore aao.
Jabtaq insaan kendrit nahi hota, mann bahr ke taraf daudta rehta hai. Ye mannka daudna jo hame daudati hai wohi swarthi- karma ja utsya hain.
Hum khud premswaroop hain to kahan daudna ? Aankhen bandh karke shant baithnese hi hame us shrot ki us dhara ki pehchan hone lagti hai jo hame uske utsya taq le jaata hai.
Hamari khud se, atma se ye pehchan hamare karm ko nihswarth banata hai. Dusre ke hithme kia hua kam. Ek brihad parivar jisse hamare shastra 'vasudaiva kutumvakam' kaha hai us sampoorn jagat ko hum khudme samil kar lete hai. Atmabhav se kia hua har karm seva hi kehlata hai. Hum jab us brihad parivar ke lie - viswa parivar ke lie sochne lagte hain, karm karne lagte hai to hamari mann failta hai. Chetna judne lagti hai..... jaise parnanu jodkar anu bann jana or or sthirta nischalta ke tarf badhna - ye saari prakriya chetna me hoti rehti hai. Kisiko bahrse pata bhi nahi chalta per woh anand woh urja ki sarvoccha seema taq hum pahuch paate hain. Jeevan yehi hai.

Swarth hame bandh sakta hai - jahan swarth nahi , wahan konsi bandhan ??
BhagvadGita, Astavakra Gita, Upanishad hame karma se mukti taq pahuchneki vaani sunate hain. Hamare chhote se chhote karm se hum dusre ki mann ki sthiti ko upar uttha sakte hain.

Buddhi- yog ke jariye , us madhyam se kaam karna. Samajhkar - Jaankar , ye kehte hain Bhagvad Gita sloka me bhi....

Hunlog itna to samjte hain 'nature ke saath co-operate karnese nature bhi hamare saath co-operate karne lagti hain.' Saare shristi hi jab conciousness se chalti hai to hame bhi us one-conciousness , one organization ke sahyog me khudko le aana chahie. Tab woh supreme energy hamse kaam kara lenge, hame khudse chesta nahi karna padega.

Yehi 1,2 or 3 ye tino verse ke saar hai. Ek parivaar me jaise alag alag logoka alag alag bhumikayen rehti hai - or kuch niyam-kuch kaidese poore parivar me taalmil banaye hue sab aapne aapne karm /duties poore karte hain. Bilkul woisehi is universe ye nature ko hum alagsa ek bankar nahi chala sakte. Woh hamare baat manege nahi -  ek unit ke rupme hame hamari action hamare participation ke jariye us viswachaitanya me judna hoga.

Hatred, jealousy, comparison, complaint , blame ye saare mannme chalnewali prakriya hame woh samagra-chetana se durr kar deti hai. Hame firse karma-cycle (karmabhog) se bandh deta hai.

Suddh buddhi ke aadharper kie gaye karm ke madhyam se hum chetna ki poornata ke tarf aate hai.

Selfish karm hame andhkaar lok ke taraf dhakelta hai yadi humlog hamare true nature , hamare atma ko jannese khudko rokte hain to.....

Kal agla verse ko janeki koshish karenge :-)

No comments:

Post a Comment