Wednesday 24 December 2014

Ishavasya Upanishad (1)

The 1st verse
---------------

ॐ ईशा वास्यमिदँ सर्वं यत्किञ्च जगत्यां जगत् । 
तेन त्यक्तेन भुञ्जीथा मा गृधः कस्यस्विद्धनम् ॥१॥

At the heart of this phenomenal world,within all its changing forms,dwells the unchanging lord.

so, go beyond the changing,and, enjoying the inner,cease to take for yourself what to others are riches, protect the self by renunciation.

****************************
It is the Consciousness, when perceived, appears as the world.
AGAIN it is Consciousness which perceives Itself.

When there is no doer/perceiver - is that nameless, formless, infinite..... **whatever-that-is** . and is **Isha** . Everything in what we call as ‘world’ is made up of and permeated by  #Consciousness. 
This is what is meant ---> "Ishavasyam idam sarvam"

**************************** 
Then here is the second line of the 1st stotra.
What is 'Sanyasa' (renunciation)

The first type is the *relative renunciation* where a karma yogi refrains oneself from wrong action.

The second type is *Vividisha sanyas*. It is for the ones who are committed to knowledge, who renounce 'artha' and 'kama' for the sake of 'moksha' liberation.

Then comes *Isvidvat sannyas* , which is the absolute renunciation.  where ones ego (ahamkar),
'doership' and 'enjoyership' both is resolved into the truth of thyself. this is what ‘tyaktena’ means....
 
Resolution of ahankar is 'bhuj'. enjoyment of fullness, happiness, freedom which is already there.Aadi Shankara says 'may yu protect, 'bhunjita', and not ‘may you enjoy’.
 
The ‘absolute renunciation’ is protection from sansaar ,which is the cause of unhappiness.
Understanding the truth of oneself and the universe being one n non dual - is the protection from sorrow. 

*****************************
Isha Upanishad ke pehla stotra Gyanyog ki sarvoccha patth hai. Mahatma gandhi kahen the " saare sashtron yadi jalkar rakh ho jaaye to ye do stotra me unke saar reh jaega.... "

Sab kuch woh ek hain. Unke acchadan me. Jaise hawa ka odni . Jaise khaali jaghe se bana hua ghar.

Osho ki ek baat jo mujhe bahot pasand hai - ghar space se bannta hai...diwar se nahi. Diwar to kamra se kamra ko alag karneke lie !! Per ghar ?? Woh to khaali jageh matra hai jisse hum diwarose dher lie hain. Kitna sunder baat, haina ?? Khaali hote hue bhi poorn.
Anderbhi-bahrbhi...Isa - iswara, brahman. Sarvoccha chetna - chaitanya. One conciousness. Yehi ek suddh-chetna hi ekmatra satya. Samaj se bhi pare ki satya. Advaita-tattva. 

Mithya jagat ka janm bhi isi chetnase aata hai jab hum janneki koshish karte hai. Ye jaise Space ko diwar se gherkar ghar bana lena or diwar hi ghar hai jaan lena !! Jab ye mera ghar tera ghar janna samjna mit jaata hai to diwar bhi nahi rehta.
Sirf shruti (ved) ke gnan se hi ye janneki bhul - ye doership - ye KartaPan ko mita sakte hain. Diwar ki tucchata ki gyan aa sakta hai. Sirf gyan ki tarvaari se hi agyanta ko kat sakte hain....ek rashmi (lightbeam) se andhera katneke jaisa.

Ye jaise matrikrod me sishu ki krida. Ma ke godime aapna hath pyair chala raha hai ,acche aache kapde bhi pehn raha hai, khabhi raha hai , hasbhi raha hai , dekhta bhi hai per karta woh nahi...ma hain. 

Chetna jab us sthar pe laut aati hai to aata hai bliss , aapne aap ho jaati hain samarpan. Sama jabtaq nahi to arpan hogi kahanse ?? Kiska hai ? Kya hai ? Or Kisko denge ?

Ye ek stotra us viswas ki utsya hai - gomukh se ganga ki dhara ke jaisa !!

Namo advaita-tattvaya mukti pradaya...namo Brahmane vyapine nirgunaya !!
* Jo bhi hai * yehi hai....

Sanyas ke jariye khudko protect karo . Atma ko bachao. Kaise ? Sanyas kise kehte hai ? Sirf arth or kaam ko tyag dena ? Humse koi galat karm na ho isse bachna ?? Ye bhi marg hai. Sanyas ko samjneki. Per sanyasi unhe kehte hai jo jante hai woh kaun hai. Jo sama me aa gaye. Main wohi hun ye satya ki anubhav. Ek brahmachari wohi hai. Brahm-sama . Samadhi lagana nahi padta hai. Baithna nahi hota hai. Jidhar bhi drishti jati hai jobhi karte hain- ek me rehte hue . Sansaar ka bhar lenewala. Kahase aaya kabiliyat ? Kartapan nahi rehnese. Yehi sarboccha gyan or jeevan yagna me aham ki ahuti . unme na to kalke lie paschataap rehta hai na anewala kal ke sukh ki aash. Poornata ki uplabdhi aati hi khudko jannese. 


1 comment:

  1. Hi, I wonder whose translation you are using for comments? I have never come across that rendering (yet I like it very much!). Can you kindly let me know? Thanks, Michael

    ReplyDelete