Monday 22 December 2014

Ishavasya Upanishad

♥ ॐ ♥ पूर्णमदः पूर्णमिदं पूर्णात् पूर्णमुदच्यते । 

पूर्णस्य पूर्णमादाय पूर्णमेवावशिष्यते ॥

ॐ शांतिः शांतिः शांतिः ॥

****************************
Om.
That is full ...This is full.
That is the whole....This is the whole...
This fullness/wholeness has been emerged from that fullness/wholeness still wholeness remains...
Again, When this fullness merges in that fullness, all that remains is fullness....

Om. Peace! Peace! Peace!

****************************

♥ Om ♥
!! Han !! hain !! 
!! Sampoorn hain !!
Isavasya ke suruvat hi ye poornata se. Srishti aayi , to Urja ki woh anadi anant shrot se jo paripoorn hain. Hum aayehi us paripoornta se. Aaisi purnata - jise na to sakaratmak kahan ja sakta hai na hi nakaratmak !!
Nakaratmakta ki aabhaas bhi hogi tabhi to kisiko sakaratmak kahenge na !!  Nakaratmakata hain hi kahan ?? !!

Brahmand ke taraf dekho, Srishti ke kan kan yehi poornata vyakt karta hai. Aapne aankhe band karke bhi dekho kitne poorn ho tum. Isi kshan me sampoorn. Bus haiii, jo bhi hai sirf 'haan' hai. Kahin koi 'na' nahi. Uday ke palse lekr aasth ke paltaq suraj bhi pal pal muskurata hua haan haan hi keh rahe ho jaise...
Sagar ki haar lehrki utna bhi jitni khusise - mil janabhi utni khusise bharpur. Kahan hai kami ? Kounsi koneme ?? Dhoonte reh jaoge per kahin koi kami dhoond paenge nahi....Ped me lage phool or fal, udta hua ya baitha hua panchiyaan, patjhaar me raste per gira hua patta taq ko dekho - kitne poorn hai woh saare !!  

Iswar ki poornata sabdhome vyakt karna ya hamare seemeet gyan ki daireme samajna kathin kaam hai. Poornata ki kalpana hum apoornata ki agyanta se pehchanneki koshish matra karte rehte hain. Jaise kalpana me ek golak ya golakar tej ya roshni aata hai - ek sphere , jo sampoorn hai. Ye hai hamare kalpana ki uddan. Itnataq. Kyunke dharna de di gayi or hum kisike die gaye dharna ke aadharpe adhara ko dharneki chesta kar rahe hote hain.

*Poornata se jo bhi aaya woh bhi poorn hai - or woh ya woh sab aneke baadbhi poornata poorn hi reh jaata hai * 

Yebhi badi achraj wali baat haina ? Are samunder se bhi ek lotabhar paani utha le aate hai to total paani se ek lotaa pani kam ho jayega ki nahi !! Ye kaise aajeeb baat fir ?? 

Per kabhi sochkar dekhe ho ? Aap aaye kahase ? Ma ki garv se na ? Woh ma, unke sharir ek dusra sharir ka janm di - ek sampoorn sharir ko firbhi unke sharir ghatkar chhota ho gaya kya ?? Woh bhi poorn hi rahi. To aab us Poornata ki kalpana karneki prayas karo jahanse itne bishal srishti janm lia ho- woh kaisi poornata hogi ?? !! Ek ma ka aachal ki chaav unki presence agar itni badi hoti hain to us vishal ke acchadan  kitne bade honge or kis kadr hote honge ?? 

Fir puch sakte ho - yadi poorn hi hain, to hum me ye kami ka ehsaas kaise or kyun ? Yahataq ki koi gyani, realized mahatma bhi dusre ko sukhi karneki maqsadse, mission se kyun daudte rehte hain ?? Jab sabkuch paripoorn hi hai to kounsi khhamiya ko poori karneke lie ?? Yahataq ki vignan ki atomic structure parmanu me bhi to (+) or (-) ve hoti hai !! Fir vignan or poornata kya alag alag pehlu hai ??
Puch sakte ho aapne to kahan tha is upanishad ko hamare jeevan ki paripoornata se ek karke dikhayenge !! Tau ??
Is prasna ka uttar aage hum sab janneki koshish karenge !!

Om !! Shanti ! Shanti ! Shanti !!

No comments:

Post a Comment