Sunday 21 December 2014

Preface, Isavasya Upanishad

Aajse, har roj subha Isavasya upanishad ka ek ek path ko aapne manan me kholneki koshish kar rahi hun.....

Ye blogs me language hindi,letters roman rahega : takey sab padh paaye. Hindi bhasha to sab bolte samjte hain per bahot log hain jinhe devnagri harf sableel padhna nahi aata. Ye har ek ke lie likh rahi hun jo pichle kuch salonse humse jude hue hain, premse ma didi behn dost bulate hai - or sirf bulate nahi woisa aadar bhi dete hain hain.

Hamne dekha, ek sikshak ki drishtise tatolke dekha - bahotlog ucchalte kud te to bahot hain per ye sanatan gyan ko unlogomese  matra kuch hi ginechune log aapne chintan me la paaye ya unhe mila.

Sawal aa sakta hai iswaqt #isa hi kyun ?? Aajkal sadguru/sadsikshak mil pana badahi muskil, uparse gyan bantke paisa pitna - sanyasi banne bananeki ghong se bhi bade 'lobh'.... koi himmat karke ek sawal isper puchbhi liya kahi- to profit ke hisse me bhagidaari rakhnewale kuch badbole woh voice ko dabaneki koshish karta rehta hai , inbox me khel chalta hai aape gut ke promotion/ dusre gutke demotion ka . Website me kuch rahe na rahe ek donation ka box jarur rehta hai. Sharda kand jaisa woh paise kis magarmacch ke pet me jaake ghus raha hai iswar ko hi maloom !! 

To ye prativad jaruri hai. Webcast/CD /VCD me is sanatan gyan ko world market me bechkar profit kamaneki jawab jaruri hai. Yahataq ki webcast package- early bird offer - main bolunga tum suno or well in advance booking karakar early bird bannke paise bachao !! Kya hum gurugharane itne lobhi bann gaye !! Asavyata se nahi - savyata se sammukh samar daarkari hai.Islie ispal #Isavasya.

Poorna to woh hai jo bant ta hai. Jis bharpur patra se uchalkar girta rahta hai - kyunke nahi bantega aadhik ho jaega - to sabko lene do ....woh hoti hai poornata. Humne kuch vyakti ka astavakra gita tak padhkar dekha , ghuma firake har ek chapter me 'hamare sanshtha me aao or pranayam dhyan lagao ' ka msg hai. Itne jehrile chetna - ke ye taq likkha hua hai " bahot sanstha ke log kehta hai, haaske nachke gaake kya milega !! " kon kya kehta hai yehi sab dekhne dikhane ladhaneke lie duniame aaye ho ?? Guru ho na ?? De diya woh tinsau rupyaki astavakra gita aagla din kisiko.

Isavasya ek eisi shantimantra se shuru hui jo purnata ka baat pahuchata hai. Patna ke Ramkrishna mission se ekbaar swami vivekananda ki ek 'vedmantra' cassette lekr aayi thi durgapooja me - unke aapne voice me vedmantra - tab mere sanskrit ucchran saaf nahi tha, chhotasa arjun ke chhotisi ma thi. Per sayed woh cassette or woh gambhir awaaj me aaisi jaadu thi ke ved me dhire dhire mere ruchi hone laga. Kuchbhi nahi janti thi kahan jayun kiske paas sikhun .....
naukri, gharke kaam , chhota baccha, anjana sahr, pati or sasural ke ye sabme abhiruchi ya protsahan nahi rehna - hazaro golmal ke andarbhi jo tha woh ye hain ke main paripoorn thi. Hosla purn tha - abhi nahi to kya ? Hoga jarur. Mainbhi kisidin aaise uddyakt kaanth me vedstotra uccharan kar padhungi. Bina samajkar nahi - samjte samjhaate , khud sikhte or sikhate hue....

Bhagvan kahi dur aasmannme baithe hue hai ye jaise ek kalpana matra hai - bhagvan mere tere har ek ke dilme ; woisahi poornata koi aleek chiz ya 'Oooo sooo much full complete, WOW !! ' ye sab kehne sunneki chiz nahi hai. 
Hum jaise hai- jis palme jis paristhiti me hai - mannme muskurate hue us paristhiti ko swikarkar apurnata kaam ko duniame aapne karm se complete karneki kshamata ya holsa ki paripoornata ko hi sampoorn kehte hai.

Ankh kholkar dekho. Charo tarf haar disha me. Saji hui sunder bagicha nahi bannke phool ko bhi. Tumhare gharke golden retriver nahi sirf -stray dogs ko bhi. Hamara koshish hoti hai sunder mukhoteme khudko parosna. Mitao us mukhote ko , woh chikni-chubri sabdhonko. Jo tum ho, jaise ho ,woise jisdin samne aate ho - tabhi logoke nazarme aap khudko dekh paoge. Warna adhyatma, shanti, ye sab baton ka baat hokr reh jaega. 

yadi sahi gyan aa jaata, *practical world jisse hum sab roj jeete ya jhelte hai* or *jisse hum gyan samjte hai* - unme bibhed mit chuka hota itne dinome. Nahi hua - matlab kuch missing link hai, kuch golmal hum sabme haii....

To upanishad kathin hoga. Per sablil hogi. Sahaj. Mere tumhare upanishad. Hamare jindegi jaise hai, phool ke bhaati usiko woisehi prabhuke charanme saja denewali upanishad. Kahan ganth hai us jagehko samjkar kholneki aarzi mannme lekr poorn hosla or asthaa ki rupwali ye upanishad. 

Main main bannke - tum tum bannkehi - 'Hum' banneki upanishad.

No comments:

Post a Comment